-NAMAZ KI FAZILAT-
hadees-1
hazrat abuzar (radi allah ho tala anho ) farmate hai ki ek martaba Nabi kareem (sallallaho alaiwa sallam) sardi k mausam mein bahar tashreef laye or patte darakhto(tree) par se gir rahe the.aap ne ek darakht(tree) ki tahni hath me li os ke patte or bhi girne lage.aap ne farmaya ae abuzar musalman banda jab ikhlas se allah k liye namaz parhta hai.to usse uske gunah aise hi girte hai jaise ye patte darakht se gir rahe hai.
[AHMAD]
Hadees-2
Hazrat abuhoraira (radi allaho tala anho) nabi kareem (sallal laho alaiwa sallam) se naqal karte hai ki aap ne ek martaba irshad farmaya batao agar kisi shaks ke darwaze par ek nahar jari ho jis me wo 5 martaba nahata rozana gusl karta ho.kya uske badan par kuch mayl baqi rahega.
SAHABA ne arz kiya ki kuch bhi baqi nahi rahega.
HOZOOR (sallal laho alaiwasallam) ne farmaya ki yahi haal paancho(5) namazo ka hai ki allah jalla shanaho'in ki wajah se gunaho ko khatm kar dete hai.
[ BUKHARI,MUSLIM,TIRMIZI,NISAI,]